AFMC ke sapne dekhte-dekhte 2 saal nikal gaye.
Pehle drop mein bola, next baar serious ho jaungi.
Doosre drop mein toh itna serious ho gayi ki life se hi mazaak ban gaya.
Mock tests ne self-esteem tod di, physics ne patience
aur relatives ne toh bas hi kar diya.
“Beta AFMC ka kya hua?”
Kuch nahi uncle, aapke bete ka kya hua?
452 aaya, matlab not bad but also… not AFMC.
Khud se bola, itna padhi hoon ki ab NEET syllabus se emotional attachment ho gaya hai.
Kal tak jo NCERT uthane ka mann nahi hota tha, ab usi ki yaad aati hai raat ko.
Honestly, AFMC ke liye sirf college nahi tha
thoda swag factor bhi tha
army wali uniform, crisp discipline, aur thoda “wow” wala vibe
but filhaal toh reality ka vibe chal raha hai
Abhi tak exact plan nahi banaya
but one thing is clear
ab agar koi aur poochhega “ab kya karogi?”
toh seedha bolungi, “tumhare liye shaadi kar leti hoon uncle, khush?”
Sab kuch nahi mila, par jokes toh banaoongi hi
thoda laugh therapy bhi important hota hai is NEET afterlife mein
Still deciding where to go next
but for now, I’ll enjoy my chai, delete NEET apps, and maybe finally watch that web series I paused 8 months back
Chalo, break toh banta hai