Hmsha bhai bs repair hi chlta rhta hai pta nhi Kiska Hume toh nhi dikhta pr authorities toh yehi bolti but tbh can’t really see any changes bs ek new building and lots of blubbering nkoi mgm k bare me puche na. toh bs bolna “work in progress” h….. kb tk?? pta nhi. Main 3rd yr me aa gya, or tabse yhi sun ra hu. “Naya bilding bn rha h Dimna me.” Haan bhai bn rha h. itna mst, shiny, naya bldng cmplex. Dekh k lgta h foreign uni hai. But wo hmare liye thodi h? Wo to bs ek dream h jo hm roz Sakchi se aate jaate dekhte hai, Humara hostel or clg wahi h, jahan wo tha…. bees saal pehle.
naya building toh bn gya, but hostels?? Bro, mai pass out ho jaunga, shayd PG b kr lunga, tab b wo hostels under constrction hi rhenge. gurantee h. Tab tak hm kahan h. Inhi purane, toote phoote hostels me jahan deewaron se zyada seelan bolti hai….. ek kamre me teen log, space itna ki ek book rkho to doosri gir jaye. Aur garmi me, bhai, Tatanagar ki garmi or hostl ki halat….. alag he level ka anubhav h.
Or infrastrcture ki baat chli h to hospitl ka zikr kse na ho. abhi rcently kya hua, pta h? Hospitl ki chhat ka plaster ek patient pe gir gya. Ek. Patient. Pe….. tum imagine kr skte ho?? jahan log theek hone aate h, wahan unke upar chhat gir rhi h. Hm doctors ko “bhagwan” bolte h log, yahan to bhgwan ko khud bchne k liye upar dekhna pad rha h ki kuch gir na jaye….. iske bad kya he safety or kya hi hygine ki baat krein. ye normal ho gya hai hmare liye. We r not evn shocked, just dissapointed.
academics ka b alag he nsha hai. Sylabus itna vast hai or resources? limited. Lectre halls me pankhe chlte h ya nhi, ye us din k mood pe depend krta hai. Kuch profs brilliant hain, no doubt, unki wajah se he manobal bna rehta h. But baaki? aate h, PPT pdhte h, or chale jate hai….. unko frk nhi pdta tmhe smjh aaya ya nhi. Ultimately, it’s all abt self study. Seniors k notes, YT videos, or bas ratta marlo. clinicals me patient load acha h, yeh ek plus point hai, but wahan b itni bheed or chaos h ki aaram se seekhne ka mauka km he milta h.
Third year me ho, aapse expectations bdh jati hai, Wards, clinics, theory, sb balance krna hota h. aur is pressure k beech, jb aap ek aisi jagah pe rehte ho jahan basic suvidhayein bhi aadhi adhuri hai, toh motivation apne aap mar jaata hai….. Koi sports complex nhi, koi dhang ki canteen nhi, kuch nhi….. Bas pdho, ward jao, aur apne toote hue kamre me wapas aa jao.
Log bolte h govt clg hai, degree ki value h. Haan h, mai maanta hu, But jis mental or physicl toll k sath hm yahan se niklenge na, uska hisab kon dega? hm har din compromise krte h. Apne comfort se, apni safety se, apni pdhai k quality se….. Wo jo naya Dimna wala campus h na, wo hmare liye bs ek mazaak bnke reh gya h. Ek promise jo kbhi poora nhi hoga…. Hm to is purane MGM se he graduate honge, jiske pas stories zyada h or infrastructure km.