Okay listen hostel room toh accha hai, haan. I won’t lie. Spacious enough, clean, good ventilation… I was honestly surprised. That was the only expectation KIMS ne exceed kiya. But bas wahi ek cheez thi jo theek nikli baaki sab ka haal toh full disaster mode hai.
Mess food? Bro that’s not food. That’s survival material. Like literally, tasteless khichdi disguised as dal, vegetables that look like they’ve fought a war, and chapati jo kabhi rubber lagta hai, kabhi papad. Ek din aloo, next day same aloo but thoda color change. The joke is, they proudly say “menu rotates.” Haan haan, rotates toh karta hai, bas masala aur naam rotate hota hai taste remains permanently bad.
Aur late ho jao mess mein? Bacha kucha cold rice milta hai with attitude. Matlab after backtoback lectures and clinics, ek decent garam khana bhi nahi milega? Sharam bhi nahi aati inko.
Gate timing ka bhi ek alag hi circus chalu hai. 9:30 pm ke baad hostel gate band, jaise hum MBBS nahi kar rahe, kisi boarding school mein band hain. Kuch kaam ho, kuch stress ho kuch nahi kar sakte. Gate pass lo, reason likho, approval lo, aur most importantly, emotionally beg karo. Mental health ke liye night walks helpful hote hain but here? Nope. Full lockdown vibes.
Ab baat karte hain academics ki, jahan syllabus se zyada confusion milega. Kab kya internal hoga, kis unit ka test hai, kaunse prof aake 100 slides padh ke chale jaayenge nobody knows. Some teachers are good genuinely try to explain but baaki? Bro they just read slides like podcast and dip. Ek taraf bolte hain “understanding is important”, doosri taraf viva mein aise random cheezein poochhte hain jo kahin nahi likhi hoti. Notes? No proper material. Tu ya toh seniors ke bhagwaan jaise notes pe bharosa kar, ya selfstudy kar aur bhagwan bharose exam likh.
Aur sabse worst part? Being from another state. I’m not from Odisha, and trust me, I felt that. Starting days mein log group bana ke baithte the and tumse baat bhi nahi karte. Language barrier is real and it’s not just about understanding, it’s about being excluded. You feel like an outsider in your own batch.
Some seniors were chill, helpful even. But kuch log… full passive ragging mode mein the. Random comments like “North se hai kya?”, “Hindi samajh nahi aata bhai”, and fake laughs itni awkward vibe create karte the ki tu bas chup rehna sikh jaata hai.
And the worst part? You’re not even allowed to complain properly. Har cheez pe bol diya jaata hai “adjust kar lo, sabko hota hai initially.” Bro I didn’t sign up to feel isolated and judged for my accent and birthplace. Yeh koi deshbhakti test nahi chal raha yeh ek medical college hai.
Mental health support toh naam ka bhi nahi hai. No proper counselor, no safe space, no one genuinely listening. It’s all “cope on your own” energy. And in all this, tu agar thoda khud ke liye time nikaal le toh log bolenge “yeh toh chill kar raha hai, serious nahi hai.”
Second year MBBS is already one of the toughest phases par yahan it’s more like mental gymnastics. Kabhi pata hi nahi chalta ki tu padhai se thaka hua hai ya system se.
KIMS could’ve been amazing. Infrastructure hai, room accha hai, kuch profs bhi sincere hain but the whole environment? It lacks soul. It lacks support. Sab kuch hai, bas student experience seriously missing hai.